Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2017

Wife Challenge is Challenging Part Two.. (In Hindi)

Fir wo boli chalo to fir bedroom me chalte hain wahi utaarna tum apni saree. Fir usne kaha bas ek kaam aur karlo to maine kaha ab kaya bacha hai. Usne mujhse kaha ki kursi par baitho aur main baith gaya fir wo high heel wali sandle le aayi aur mujhe pahna di aur main kuch jaan paata uske pahle usne uski straps me do chote se lock lagakar mujhe chidate hue chabi dikhate hue boli ki ab main heels me lock ho gaye hu aur jab wo chahegi tab hi ye heel khulegi. Maine kaha ki ye sab kuch jyada nahi ho raha par wo boli ki pyaar aur jang me sab jaayaj hai aur mere saath to dono hi hain, pyar wo mujhse karti hi hai aur challenge wali jang bhi hai. Fir wo boli ki pata nahi aisa fir hoga ya nahi to jitne maje lene hain usko abhi hi lene hain. Main kuch karne laayak tha nahi bas uske maje ke chakkar me pata nahi kya kya karna pade. Musibat logon ke gale padti hai mere pairo me thi. Uski heel 3 se 4 inch ki hogi wo bhi pencil wali. Jab usne kaha ki utho aur chalo bas wahi tak main theek tha jab ut

Wife Challenge is Challenging Part one.. (In Hindi)

Mera naam Sanjay hai aur meri wife ka naam Shikha hai. Hum dono ki shadi pichle saal hui thi. Main Kanpur me ek company me kaam karta tha aur company se mujhe ek two bhk flat mila hua tha. Hum dono wahan bade pyar se rahte the.... Chalo ab main apni story par aata hu. Main shikha se hamesha complain karta tha uske taiyaar hone par kyonki hum jab bhi kabhi party aur functions me jaate the wo bahut time lagati thi. Jab meri complaints se wo tang aa gai to is par debate hone lagi. Maine kaha ki kyon itna taam jhaam karti ho taiyaar hone me jo taiyaar hone me itna time lagta hai kya. Wo boli ki main nahi samjhunga kyonki main ek ladki nahi hu. Maine kaha iska kya matlab hai ki main ek ladki nahi hu. To wo boli ki ek ladki ko sundar dikhne ke liye ye sab karna padta hai. Maine kaha haan tum sundar ho par simply bhi taiyaar hua jaa sakta hai aur simple tarike se tum aur sundar lagogi. Par wo kahaan manti bahas par bahas hone lagi. Maine kaha ki main jitni jaldi taiyaar hota hu utni hi ja